aam
aam jo khaa.e vo lalchā.e
jo na khaa.e vo pachhtā.e
bhīnī bhīnī ḳhushbū aa.e
jo sab ke hī man ko bhaa.e
lañgDā chausā aur dasahrī
koī nahīñ hai in kā bairī
sone jaisī rangat in kī
Daalī Daalī sañgat in kī
abbā jab bāzār ko jaate
Tokrī bhar aamoñ kī laate
saare phaloñ kā aam hai raajā
kachchā pakkā sab kā khā jā
ḳhushbū is kī bhīnī bhīnī
mīThā guḌ hai mīThī chīnī
ḳhud khā.eñ auroñ ko khilā.eñ
khāne se jī bhar na paa.eñ
sab se achchhī baat ye hī hai
garmī kī sauġhāt ye hī hai
aam jo khae wo lalchae
jo na khae wo pachhtae
bhini bhini KHushbu aae
jo sab ke hi man ko bhae
langDa chausa aur dasahri
koi nahin hai in ka bairi
sone jaisi rangat in ki
Dali Dali sangat in ki
abba jab bazar ko jate
Tokri bhar aamon ki late
sare phalon ka aam hai raja
kachcha pakka sab ka kha ja
KHushbu is ki bhini bhini
miTha guD hai miThi chini
KHud khaen auron ko khilaen
khane se ji bhar na paen
sab se achchhi baat ye hi hai
garmi ki saughat ye hi hai
RECITATIONS
Farhat Ehsas,
Fahad Husain,
Fahad Husain,
Fahad Husain,
Fahad Husain,
Fahad Husain,
Zubair Ali Tabish,
Nomaan Shauque,
Nomaan Shauque,
Nomaan Shauque,
Fahad Husain,
Nomaan Shauque,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.