aam muafi ke liye
bain kartī auratoñ se
ham pūchh rahe haiñ 'mīr' ke sher kā matlab
beghar bhauñroñ se kah rahe haiñ
shakuntlā ko rijhāne ke liye
lū bharī dopahar meñ
kūkne kā taqāza kar rahe haiñ koyal se
is mushkil vaqt meñ
kuchh log kah rahe haiñ ham se
apnī vafādārī sābit karne ke liye
ek TuuTe hue bartan ko
chaak se vafādārī sābit karne ke liye
kuchh log tāliyāñ bajā rahe haiñ
kuchh hairān ho kar dekh rahe haiñ
un kī aur hamārī shakl
ye māsūm haiñ
inheñ muaaf kar denā mere ḳhudā
aur mumkin ho to hameñ bhī
ki ham jī rahe haiñ
is mushkil vaqt meñ bhī
bain karti auraton se
hum puchh rahe hain 'mir' ke sher ka matlab
beghar bhaunron se kah rahe hain
shakuntla ko rijhane ke liye
lu bhari dopahar mein
kukne ka taqaza kar rahe hain koyal se
is mushkil waqt mein
kuchh log kah rahe hain hum se
apni wafadari sabit karne ke liye
ek TuTe hue bartan ko
chaak se wafadari sabit karne ke liye
kuchh log taliyan baja rahe hain
kuchh hairan ho kar dekh rahe hain
un ki aur hamari shakl
ye masum hain
inhen muaf kar dena mere KHuda
aur mumkin ho to hamein bhi
ki hum ji rahe hain
is mushkil waqt mein bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.