aam sa dulha
aaj phir
ek laḌkī
ruḳhsat ho kar jā rahī hai
āñkhoñ meñ apnī
sapne sajā.e
sapnoñ ke mahal meñ
pyaar basā.e
phir vaisā hī ghar
vaisā hī chūlhā
vaise hī log
aur
ek aam sā dūlhā
dūlhan
chāhte hue bhī mahal ko
qaa.em nahīñ rakh pā.egī
dūlhā
pā kar bhī dūlhan ko
kabhī nahīñ chāhegā
aaj phir
ek laDki
ruKHsat ho kar ja rahi hai
aankhon mein apni
sapne sajae
sapnon ke mahal mein
pyar basae
phir waisa hi ghar
waisa hi chulha
waise hi log
aur
ek aam sa dulha
dulhan
chahte hue bhi mahal ko
qaem nahin rakh paegi
dulha
pa kar bhi dulhan ko
kabhi nahin chahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.