ho raha hai zikr paiham aam ka
ho rahā hai zikr paiham aam kā
aa rahā hai phir se mausam aam kā
nazm likh kar us ke istiqbāl meñ
kar rahā huuñ ḳhair-maqdam aam kā
un se ham rakkheñ ziyāda rabt kyuuñ
shauq jo rakhte haiñ kam kam aam kā
tab kahīñ aatā hai mere dam meñ dam
naam jab letā huuñ hamdam aam kā
shauq se paḌhte haiñ us ko ḳhās-o-ām
jab qasīda likhte haiñ ham aam kā
kyā kahūñ asmār kī fihrist meñ
naam hai sab se muqaddam aam kā
ik faqat maiñ hī nahīñ shaidā 'asar'
shaidā hai aalam kā aalam aam kā
ho raha hai zikr paiham aam ka
aa raha hai phir se mausam aam ka
nazm likh kar us ke istiqbaal mein
kar raha hun KHair-maqdam aam ka
un se hum rakkhen ziyaada rabt kyun
shauq jo rakhte hain kam kam aam ka
tab kahin aata hai mere dam mein dam
nam jab leta hun hamdam aam ka
shauq se paDhte hain us ko KHas-o-am
jab qasida likhte hain hum aam ka
kya kahun asmar ki fihrist mein
nam hai sab se muqaddam aam ka
ek faqat main hi nahin shaida 'asar'
shaida hai aalam ka aalam aam ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.