jazba-e-ushshaq kaam aane ko hai
jazba-e-ushshāq kaam aane ko hai
phir lazīz-o-shīrīñ jaam aane ko hai
mausam-e-sarmā kī aamad marhabā
kyūñki is mausam meñ aam aane ko hai
ḳhatm hone ko hai vaqt-e-intizār
intiḳhāb-e-ḳhās-o-ām aane ko hai
dhīre dhīre chaltā lañgḌātā huā
ḳhush-āda-o-ḳhush-ḳhirām aane ko hai
muqtadī tayyār hoñ saf bāñdh kar
sab phaloñ kā ab imaam aane ko hai
qurbatoñ kā hogā ab āġhāz phir
furqatoñ kā iḳhtitām aane ko hai
aate hī jaane kī tayyārī kare
vo savār-e-tez-gām aane ko hai
vajd meñ yuuñ gungunātā hai 'asar'
aam aane ko hai aam aane ko hai
jazba-e-ushshaq kaam aane ko hai
phir laziz-o-shirin jam aane ko hai
mausam-e-sarma ki aamad marhaba
kyunki is mausam mein aam aane ko hai
KHatm hone ko hai waqt-e-intizar
intiKHab-e-KHas-o-am aane ko hai
dhire dhire chalta langData hua
KHush-ada-o-KHush-KHiram aane ko hai
muqtadi tayyar hon saf bandh kar
sab phalon ka ab imam aane ko hai
qurbaton ka hoga ab aaghaz phir
furqaton ka iKHtitam aane ko hai
aate hi jaane ki tayyari kare
wo sawar-e-tez-gam aane ko hai
wajd mein yun gungunata hai 'asar'
aam aane ko hai aam aane ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.