aamad-e-sal-e-nau aur bad-nasib hindi
aamad hai sāl-e-nau kī samāñ hai bahār kā
sarsabz gulistāñ hai dil-e-dāġh-dār kā
ishq-e-vatan meñ āshiq-e-sādiq hai jāñ-ba-lab
kyā haal pūchhte ho ġharīb-ud-dayār kā
yārab kaheñge kis tarah ham bekasoñ ke din
yaad aayā hai qafas meñ zamāna bahār kā
yuuñ ashk-e-ġham Tapakte haiñ āñkhoñ se qaum kī
mumkin nahīñ hai TūTnā ashkoñ ke taar kā
ik baar qatl-e-ām karo teġh-e-zulm se
achchhā nahīñ hai jaur-o-sitam baar baar kā
ai māder-e-vatan ke sapūto baḌhe chalo
ye aaj ho rahā hai ishāra bahār kā
qātil ko naaz quvvat-e-bāzū pe hai agar
mazlūm ko bharosā hai parvardigār kā
ai māder-e-vatan zarā dast-e-duā uThā
maqtal meñ imtihāñ hai tire ġham-gusār kā
girgiT kī tarah rañg badaltā hai dam-ba-dam
kyā e'tibār ġhair ke qaul-o-qarār kā
aġhyār se karam kī tavaqqo fuzūl hai
arsa guzar chukā hai bahut intizār kā
ai 'āftāb' dahr kā shikva hai kyoñ tujhe
hotā nahīñ hai koī dil-e-be-qarār kā
aamad hai sal-e-nau ki saman hai bahaar ka
sarsabz gulistan hai dil-e-dagh-dar ka
ishq-e-watan mein aashiq-e-sadiq hai jaan-ba-lab
kya haal puchhte ho gharib-ud-dayar ka
yarab kahenge kis tarah hum bekason ke din
yaad aaya hai qafas mein zamana bahaar ka
yun ashk-e-gham Tapakte hain aankhon se qaum ki
mumkin nahin hai TuTna ashkon ke tar ka
ek bar qatl-e-am karo tegh-e-zulm se
achchha nahin hai jaur-o-sitam bar bar ka
ai mader-e-watan ke saputo baDhe chalo
ye aaj ho raha hai ishaara bahaar ka
qatil ko naz quwwat-e-bazu pe hai agar
mazlum ko bharosa hai parwardigar ka
ai mader-e-watan zara dast-e-dua uTha
maqtal mein imtihan hai tere gham-gusar ka
girgiT ki tarah rang badalta hai dam-ba-dam
kya e'tibar ghair ke qaul-o-qarar ka
aghyar se karam ki tawaqqo fuzul hai
arsa guzar chuka hai bahut intizar ka
ai 'aftab' dahr ka shikwa hai kyon tujhe
hota nahin hai koi dil-e-be-qarar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.