aamad-e-shab
diye abhī nahīñ jale
daraḳht baḌhtī tīrgī meñ chhup chale
parind qāfiloñ meñ Dhal ke uḌ chale
havā hazār marg-e-ārzū kā ek ġham liye
chalī pahāḌiyoñ kī samt ruḳh kiye
khule samundaroñ pe kashtiyoñ ke bādbāñ khule
savād-e-shahr ke khañDar
ga.e dinoñ kī ḳhushbuoñ se bhar ga.e
akelī ḳhvāb-gāh meñ
kisī hasīñ-nigāh meñ
alam meñ lipTī chāhateñ varūd-e-shab se jaag uThīñ
hai dil ko bekalī siyāh raat aa.egī
jilau meñ dukh kī laag ko liye hue
nagar nagar pe chhā.egī
diye abhi nahin jale
daraKHt baDhti tirgi mein chhup chale
parind qafilon mein Dhal ke uD chale
hawa hazar marg-e-arzu ka ek gham liye
chali pahaDiyon ki samt ruKH kiye
khule samundaron pe kashtiyon ke baadban khule
sawad-e-shahr ke khanDar
gae dinon ki KHushbuon se bhar gae
akeli KHwab-gah mein
kisi hasin-nigah mein
alam mein lipTi chahaten warud-e-shab se jag uThin
hai dil ko bekali siyah raat aaegi
jilau mein dukh ki lag ko liye hue
nagar nagar pe chhaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.