aamriyat ka qasida
bhārī būToñ-tale rauñdte jā.iye
koñpaloñ ke badan āhaToñ ke diye
bhārī būToñ-tale rauñdte jā.iye
resmāñ bāñdh kar ḳhvāb hañste rahe
habs kī taal par saañs chalte rahe
chāhiye aap ko aur kyā chāhiye
bhārī būToñ-tale rauñdte jā.iye
shaam lau ko liye raat sahne ga.ī
dard kī oḌhnī ḳhaak pahne ga.ī
Dhāñpiye shauq se har kiran Dhāñpiye
bhārī būToñ-tale rauñdte jā.iye
bhuuk maslūb jismoñ ko karne lagī
zaḳhm bahne lage aas marne lagī
aap ko kyā ġharaz ham mare yā jiye
bhārī būToñ-tale rauñdte jā.iye
sirf ḳhāne badalne se kyā fā.eda
chand naame badalne se kyā fā.eda
ham pyāda-safar the payāde rahe
bhārī būToñ-tale rauñdte jā.iye
bhaari buTon-tale raundte jaiye
konpalon ke badan aahaTon ke diye
bhaari buTon-tale raundte jaiye
resman bandh kar KHwab hanste rahe
habs ki tal par sans chalte rahe
chahiye aap ko aur kya chahiye
bhaari buTon-tale raundte jaiye
sham lau ko liye raat sahne gai
dard ki oDhni KHak pahne gai
Dhanpiye shauq se har kiran Dhanpiye
bhaari buTon-tale raundte jaiye
bhuk maslub jismon ko karne lagi
zaKHm bahne lage aas marne lagi
aap ko kya gharaz hum mare ya jiye
bhaari buTon-tale raundte jaiye
sirf KHane badalne se kya faeda
chand name badalne se kya faeda
hum pyaada-safar the payaade rahe
bhaari buTon-tale raundte jaiye
- Book : Vaqt ki qiad se (Pg. 69)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.