aandhi
guzre haiñ biis baras ik din
ik zor kī āñdhī aa.ī thī
jis se peḌoñ se judā ho kar
lākhoñ hī patte TuuT gire
shāh-rāhoñ par pagDanDiyoñ par
khetoñ meñ aur fuTpāthoñ par
kuchh bah ga.e gande nāloñ meñ
bhañgī kī jhāḌū ke sadqe
lekin jo bach ga.e un ko havā
har-vaqt uḌaa.e phirtī hai
pachchhim ko kabhī pūrab ko kabhī
vo bikhre paḌe haiñ ab har-sū
aur har-dam piste rahte haiñ
bhārī-bharkam būToñ ke tale
guzre hain bis baras ek din
ek zor ki aandhi aai thi
jis se peDon se juda ho kar
lakhon hi patte TuT gire
shah-rahon par pagDanDiyon par
kheton mein aur fuTpathon par
kuchh bah gae gande nalon mein
bhangi ki jhaDu ke sadqe
lekin jo bach gae un ko hawa
har-waqt uDae phirti hai
pachchhim ko kabhi purab ko kabhi
wo bikhre paDe hain ab har-su
aur har-dam piste rahte hain
bhaari-bharkam buTon ke tale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.