aane wala sard mausam
ik ḳhāmoshī chhā rahī hai
ḳhushk patte har taraf bikharte jā rahe haiñ
aur
aane vaale sard mausam kā
paiġhām sunā rahe haiñ
saath hī ik ajiib
be-yaqīnī
udāsī ban kar
chhā rahī hai
āsmān kā nīlā-pan aur
uḌte parinde bhī
shaam kī gahrī chup par
ḳhāmosh haiñ
sard mausam kī ḳhabreñ garm haiñ
ek KHamoshi chha rahi hai
KHushk patte har taraf bikharte ja rahe hain
aur
aane wale sard mausam ka
paigham suna rahe hain
sath hi ek ajib
be-yaqini
udasi ban kar
chha rahi hai
aasman ka nila-pan aur
uDte parinde bhi
sham ki gahri chup par
KHamosh hain
sard mausam ki KHabren garm hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.