aane wali nasl ka tohfa
chalo ik va.ada karte haiñ
ki ham aur aap sab bhī
zehn aur dil kī kudūrat saaf karte haiñ
be-īmānī par diyānat kibr par iḳhlās ko
nafratoñ ke zahr par pyaar kī miThās ko
ham ġhālib karte haiñ
chalo ham ye bhī karte haiñ
ki ahl-e-haq ko un kā haq dilāte haiñ
jo mujrim haiñ unheñ mujrim hī kahte haiñ
fareb-o-maslahat ko aap bhī aur ham bhī chhoḌeñ
qadam bosoñ ke bhayānak ġhol ko jo dīmak-o-jarāsīm kī sūrat
nizām-e-fikr-o-fan barbād kartā hai
use ham duur rakhte haiñ use mazmūm kahte haiñ
sunā hai jis zamīñ jis qaum se sachchā.ī jaatī hai
to us ke saath hī īmān aur insāf jaatā hai
to apne taur par in tīnoñ ko ham thāme rakhte haiñ
chalo ham aisā karte haiñ
za.īf-o-tifl ko bahū ko beTiyoñ ko maañ ko ham mushtarka kahte haiñ
dharm aur zaat ke
qasrat-o-qillat ke saare phūloñ ko chun kar
unheñ ḳhush-rañg karte haiñ hasīñ maalā pirote haiñ
chalo ham aisā karte
ye tohfa aane vaalī nasl ko ham pesh karte haiñ
chalo ek wada karte hain
ki hum aur aap sab bhi
zehn aur dil ki kudurat saf karte hain
be-imani par diyanat kibr par iKHlas ko
nafraton ke zahr par pyar ki miThas ko
hum ghaalib karte hain
chalo hum ye bhi karte hain
ki ahl-e-haq ko un ka haq dilate hain
jo mujrim hain unhen mujrim hi kahte hain
fareb-o-maslahat ko aap bhi aur hum bhi chhoDen
qadam boson ke bhayanak ghol ko jo dimak-o-jarasim ki surat
nizam-e-fikr-o-fan barbaad karta hai
use hum dur rakhte hain use mazmum kahte hain
suna hai jis zamin jis qaum se sachchai jati hai
to us ke sath hi iman aur insaf jata hai
to apne taur par in tinon ko hum thame rakhte hain
chalo hum aisa karte hain
zaif-o-tifl ko bahu ko beTiyon ko man ko hum mushtarka kahte hain
dharm aur zat ke
qasrat-o-qillat ke sare phulon ko chun kar
unhen KHush-rang karte hain hasin mala pirote hain
chalo hum aisa karte
ye tohfa aane wali nasl ko hum pesh karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.