aankh ki putli patthar jaisi
apne dil kī qaus-e-quzah ke
TukḌe TukḌe kar ke maiñ ne
lamha lamha rang bikhere
sūraj kī har lahza barastī aagoñ ko
apne hī pighalte tan meñ samo kar
chāñdnī jaisī ik ThanDī chhitnār banā.ī
bhūrī darīda-tan dhartī par
ashkoñ ke bādal barsā kar
piilī harī chādar phailā.ī
apnī nazar kī sunahrī kirnoñ kī bārish se
māñgoñ meñ sindūr bharā
mere lahū ke mīThe ras se
janam janam ke pyāse sahrāoñ meñ jal-thal
bhikshū aa.e
māñgoñ ke sindūr ko chāTā
piilī harī chādar ko rauñdā
lambe nāḳhunoñ vaale khurdure hāthoñ se ThanDī chhitnār pe jhapTe
paak pavitra jal-thal meñ kaale jismoñ kī syāhī gholī
mere dil kī qaus-e-quzah se zanjīroñ ke halqe Dhāle
ab maiñ simTī aañkh kī putlī
apne dil ki qaus-e-quzah ke
TukDe TukDe kar ke main ne
lamha lamha rang bikhere
suraj ki har lahza barasti aagon ko
apne hi pighalte tan mein samo kar
chandni jaisi ek ThanDi chhitnar banai
bhuri darida-tan dharti par
ashkon ke baadal barsa kar
pili hari chadar phailai
apni nazar ki sunahri kirnon ki barish se
mangon mein sindur bhara
mere lahu ke miThe ras se
janam janam ke pyase sahraon mein jal-thal
bhikshu aae
mangon ke sindur ko chaTa
pili hari chadar ko raunda
lambe naKHunon wale khurdure hathon se ThanDi chhitnar pe jhapTe
pak pawitra jal-thal mein kale jismon ki syahi gholi
mere dil ki qaus-e-quzah se zanjiron ke halqe Dhaale
ab main simTi aankh ki putli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.