aankh-micholi
bandar chuhā aur ḳhargosh
hañste hañste the behosh
paas thī ek gilahrī bhī
thī chūhe se moTī bhī
aur kuttā thā muñh khole
Tāñgoñ meñ thā nekar pahne
sab se baḌī thī lomḌī
thī us kī moTī khopaḌī
ye sab hī pyaar se rahte the
sab nāchte gaate hañste the
ik din vo bole ḳhush ho ke
ham āñkh-mīcholī kheleñge
jo pakḌā jaa.e chor bane
us kī ā.ankhoñ pe paTTī bañdhe
jo bhī pakḌā na jā.egā
āḳhir raaja kahlā.egā
pahle kutte kī baaī thī
us kī sab se hī yaar thī
us ne sochā kis ko pakḌūñ
āḳhir maiñ kis ko chor kahūñ
itne meñ bolā bandar bhī
aa.e haiñ miyāñ-chhachhūñdar bhī
kahte haiñ maiñ bhī khelūñgā
maiñ āḳhir sab ko pakḌūñgā
kutte ne kahā aane do ise
haañ chor zarā banñe do ise
ye sun ke shaiḳhī meñ aa ke
ḳhud aap chhachhūñdar ne baḌh ke
kutte se kahā mujh ko pakḌo
mere muñh pe paTTī bāñdho
maiñ har ek ko pakḌūñgā
āḳhir raaja kahlā.ūñgā
ahmaq the miyāñ chhachhūñdar bhī
paḌhte the antar-mantar bhī
koī bhī haath na aatā thā
koī bhī chor na bantā thā
thak thak ke haal ḳharāb huā
lekin na koī kisī ko haath lagā
achchhā nahīñ shaiḳhī meñ aanā
achchhā nahīñ hotā itrānā
bandar chuha aur KHargosh
hanste hanste the behosh
pas thi ek gilahri bhi
thi chuhe se moTi bhi
aur kutta tha munh khole
Tangon mein tha nekar pahne
sab se baDi thi lomDi
thi us ki moTi khopaDi
ye sab hi pyar se rahte the
sab nachte gate hanste the
ek din wo bole KHush ho ke
hum aankh-micholi khelenge
jo pakDa jae chor bane
us ki aaankhon pe paTTi bandhe
jo bhi pakDa na jaega
aaKHir raja kahlaega
pahle kutte ki bai thi
us ki sab se hi yar thi
us ne socha kis ko pakDun
aaKHir main kis ko chor kahun
itne mein bola bandar bhi
aae hain miyan-chhachhundar bhi
kahte hain main bhi khelunga
main aaKHir sab ko pakDunga
kutte ne kaha aane do ise
han chor zara banne do ise
ye sun ke shaiKHi mein aa ke
KHud aap chhachhundar ne baDh ke
kutte se kaha mujh ko pakDo
mere munh pe paTTi bandho
main har ek ko pakDunga
aaKHir raja kahlaunga
ahmaq the miyan chhachhundar bhi
paDhte the antar-mantar bhi
koi bhi hath na aata tha
koi bhi chor na banta tha
thak thak ke haal KHarab hua
lekin na koi kisi ko hath laga
achchha nahin shaiKHi mein aana
achchha nahin hota itrana
- Book : Aankh Mecholi (Pg. 16)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.