aankhen do juDwan bahnen
jab hamāre gunāhoñ pe vaqt utregā
bande khare ho jā.eñge
phir ham tauba ke Tāñkoñ se
ḳhudā kā libās si.eñge
tum ne samundar rahan rakh chhoḌā
aur ghoñsloñ se churāyā huā sonā
bachche ke pahle din pe mal diyā gayā
tum dukh ko paivand karnā
mere paas udhār ziyāda hai aur dukān kam
āñkheñ do juḌvāñ bahneñ
ek mere ghar biyāhī ga.ī dūsrī tere ghar
haath do sautele bhaa.ī
jinhoñ ne aag meñ paḌāv Daal rakkhā hai
jab hamare gunahon pe waqt utrega
bande khare ho jaenge
phir hum tauba ke Tankon se
KHuda ka libas sienge
tum ne samundar rahan rakh chhoDa
aur ghonslon se churaya hua sona
bachche ke pahle din pe mal diya gaya
tum dukh ko paiwand karna
mere pas udhaar ziyaada hai aur dukan kam
aankhen do juDwan bahnen
ek mere ghar biyahi gai dusri tere ghar
hath do sautele bhai
jinhon ne aag mein paDaw Dal rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.