Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhen

Fahmida Riaz

aankhen

Fahmida Riaz

MORE BYFahmida Riaz

    jin par merā dil dhaḌkā thā

    vo sab bāteñ dohrāte ho

    vo jaane kaisī laḌkī hai

    tum ab jis ke ghar jaate ho

    mujh se kahte the

    bin kājal achchhī lagtī haiñ merī āñkheñ

    tum ab jis ke ghar jaate ho

    kaisī hoñgī us āñkheñ

    tanhā.ī meñ khoī-khoī nāzuk sapne buntī hogī

    tum ab jis ke ghar jaate ho

    kyā vo mujh se achchhī hogī

    jin par mera dil dhaDka tha

    wo sab baaten dohraate ho

    wo jaane kaisi laDki hai

    tum ab jis ke ghar jate ho

    mujh se kahte the

    bin kajal achchhi lagti hain meri aankhen

    tum ab jis ke ghar jate ho

    kaisi hongi us ki aankhen

    tanhai mein khoi-khoi nazuk sapne bunti hogi

    tum ab jis ke ghar jate ho

    kya wo mujh se achchhi hogi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now