Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aanKHen

Shams Faridee

aanKHen

Shams Faridee

MORE BYShams Faridee

    kāġhaz pe phaile rangoñ

    be-rabt lakīroñ meñ DhūñDo

    in rangoñ ko ġhaur se dekho

    ujle kaale niile piile rangoñ meñ

    poshīda āñkheñ haiñ

    aur āñkheñ kuchh bol rahī haiñ

    kuchh āñkhoñ meñ ḳhvāb base haiñ

    kuchh āñkheñ haiñ khoī khoī

    kuchh āñkhoñ meñ bharī huī hai chingārī

    kuchh āñkheñ haiñ sahmī sahmī ghabrā.ī

    kuchh āñkhoñ se ḳhuun ke qatre Tapak rahe haiñ

    kuchh āñkheñ haiñ pathrā.ī

    behis āñkheñ

    murda āñkheñ

    kaghaz pe phaile rangon ki

    be-rabt lakiron mein DhunDo

    in rangon ko ghaur se dekho

    ujle kale nile pile rangon mein

    poshida aankhen hain

    aur aankhen kuchh bol rahi hain

    kuchh aankhon mein KHwab base hain

    kuchh aankhen hain khoi khoi

    kuchh aankhon mein bhari hui hai chingari si

    kuchh aankhen hain sahmi sahmi ghabrai si

    kuchh aankhon se KHun ke qatre Tapak rahe hain

    kuchh aankhen hain pathrai si

    behis aankhen

    murda aankhen

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now