aankhen meri kya DhunDti hain
āñkheñ merī kyā DhūñDhtī haiñ
paanī meñ yā chaTTānoñ meñ
shabnam ke nanhe qatroñ meñ
bārūdī dahakte sho.aloñ meñ
gulzāroñ meñ
yā banjar registānoñ meñ
mahfil meñ tanhā.ī meñ
dūsroñ kī añgnā.ī meñ
nazmoñ ke tīkhā-pan meñ
ġhazloñ kī ra.anā.ī meñ
mai-ḳhvānoñ ke band kivāḌoñ ke pīchhe
mandir meñ chaḌhā.e phūloñ meñ
masjid ke ḳhālī musallā par
marghaT meñ qabristānoñ meñ
bāzāroñ meñ vīrānoñ meñ
dasht se kāñpte hoñToñ par
vahshat se lapakte jazboñ par
bosīda kachchī kholī meñ
ūñche ūñche aivānoñ meñ
munsif ke phisalte qalamoñ par
mulzim kī laraztī sāñsoñ meñ
insāf kī andhī devī meñ
yā jhuul rahe mīzānoñ meñ
bachchoñ kī taḌaptī lāshoñ meñ
maaoñ kī bhī mamtā meñ
āñkheñ merī usī chehre kī mutalāshī haiñ
jis chehre meñ vo rahtī thiiñ
vo chehra jo ab ḳhud ko bhī pahchānñe se qāsir hai 'nazar'
āñkheñ us ko kyā DhūñDeñgī
aankhen meri kya DhunDhti hain
pani mein ya chaTTanon mein
shabnam ke nanhe qatron mein
barudi dahakte shoalon mein
gulzaron mein
ya banjar registanon mein
mahfil mein tanhai mein
dusron ki angnai mein
nazmon ke tikha-pan mein
ghazlon ki ranai mein
mai-KHwanon ke band kiwaDon ke pichhe
mandir mein chaDhae phulon mein
masjid ke KHali musalla par
marghaT mein qabristanon mein
bazaron mein viranon mein
dasht se kanpte honTon par
wahshat se lapakte jazbon par
bosida kachchi kholi mein
unche unche aiwanon mein
munsif ke phisalte qalamon par
mulzim ki larazti sanson mein
insaf ki andhi dewi mein
ya jhul rahe mizanon mein
bachchon ki taDapti lashon mein
maon ki bhi mamta mein
aankhen meri usi chehre ki mutalashi hain
jis chehre mein wo rahti thin
wo chehra jo ab KHud ko bhi pahchanne se qasir hai 'nazar'
aankhen us ko kya DhunDengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.