aankhen taras gai hain
is ghar meñ yā us ghar meñ
tū kahīñ nahīñ hai
darvāze bajte haiñ
ḳhālī kamre
terī bātoñ kī mahkār se bhar jaate haiñ
dīvāroñ meñ
terī sāñseñ soī haiñ
maiñ jaag rahā huuñ
kānoñ meñ
koī guuñj sī chakrātī phirtī hai
bhūle-bisre gītoñ kī
chāñdnī raat meñ khilte hue
phūloñ kī damak hai, yahīñ kahīñ
tere ḳhvāb
mirī be-sāya zindagī par
bādal kī sūrat jhuke hue haiñ
yaad ke dasht meñ
āñkheñ kāñTe chuntī haiñ
mere haath
tire hāthoñ kī ThanDak meñ
Duube rahte haiñ
āḳhir... terī miTTī se mil jaane tak
kitne pal
kitnī sadiyāñ haiñ
is sarhad se
us sarhad tak
kitnī masāfat aur paḌī hai
un rastoñ meñ
kitnī bārisheñ baras ga.ī haiñ
āñkheñ mirī
terī rātoñ ko taras ga.ī haiñ
is ghar mein ya us ghar mein
tu kahin nahin hai
darwaze bajte hain
KHali kamre
teri baaton ki mahkar se bhar jate hain
diwaron mein
teri sansen soi hain
main jag raha hun
kanon mein
koi gunj si chakraati phirti hai
bhule-bisre giton ki
chandni raat mein khilte hue
phulon ki damak hai, yahin kahin
tere KHwab
meri be-saya zindagi par
baadal ki surat jhuke hue hain
yaad ke dasht mein
aankhen kanTe chunti hain
mere hath
tere hathon ki ThanDak mein
Dube rahte hain
aaKHir teri miTTi se mil jaane tak
kitne pal
kitni sadiyan hain
is sarhad se
us sarhad tak
kitni masafat aur paDi hai
un raston mein
kitni barishen baras gai hain
aankhen meri
teri raaton ko taras gai hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.