aansu
ai mire aañsū kabhī be-kār ho jaatā hai tū
aur kabhī dāman pe ban jaatā hai ik naqsh-e-vafā
terī qīmat kuchh nahīñ rahtī hai nazroñ meñ kabhī
aur kabhī ho jaatā hai ganj-hā-e-be-bahā
parvarish paatā hai tū qalb-e-hazīñ meñ is tarah
jis tarah chashm-e-sadaf meñ gauhar-e-sarmāya-dār
tere siine meñ haiñ pinhāñ rāz-hā-e-ranj-o-ġham
tū hai pichhlī kaif-parvar sohbatoñ kā yādgār
tū kabhī ban jaatā hai phūloñ meñ qatra os kā
aur kabhī tārīk bādal meñ sitāre kī ziyā
jalva-gar hotā hai tū bijlī ke pahlū meñ kabhī
aur kabhī tū ḳhud hī ban jaatā hai sho.ala qahr kā
dekh kar tujh ko kabhī hotā hai siina ġham se shaq
aur kabhī āñkhoñ meñ ban jaatā hai tū vaj.h-e-nashāt
tarjumān-e-hāl-e-dil hai ġham kī ḳhāmoshī meñ tū
ik samundar hai agar hāsil ho tujh ko imbisāt
tū hī mazlūmoñ kī fariyādoñ kā hai fariyād-ras
ġham ke sho.aloñ ko bujhā detā hai dil meñ aa ke tū
ḳhatm ho jaatī hai kulfat terī tuġhyānī ke saath
naġhma-e-ishrat sunā detā hai dil meñ aa ke tū
ai mere aansu kabhi be-kar ho jata hai tu
aur kabhi daman pe ban jata hai ek naqsh-e-wafa
teri qimat kuchh nahin rahti hai nazron mein kabhi
aur kabhi ho jata hai ganj-ha-e-be-baha
parwarish pata hai tu qalb-e-hazin mein is tarah
jis tarah chashm-e-sadaf mein gauhar-e-sarmaya-dar
tere sine mein hain pinhan raaz-ha-e-ranj-o-gham
tu hai pichhli kaif-parwar sohbaton ka yaadgar
tu kabhi ban jata hai phulon mein qatra os ka
aur kabhi tarik baadal mein sitare ki ziya
jalwa-gar hota hai tu bijli ke pahlu mein kabhi
aur kabhi tu KHud hi ban jata hai shoala qahr ka
dekh kar tujh ko kabhi hota hai sina gham se shaq
aur kabhi aankhon mein ban jata hai tu wajh-e-nashat
tarjuman-e-haal-e-dil hai gham ki KHamoshi mein tu
ek samundar hai agar hasil ho tujh ko imbisat
tu hi mazlumon ki fariyaadon ka hai fariyaad-ras
gham ke shoalon ko bujha deta hai dil mein aa ke tu
KHatm ho jati hai kulfat teri tughyani ke sath
naghma-e-ishrat suna deta hai dil mein aa ke tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.