aansu
mere pahlū meñ jo bah nikle tumhāre aañsū
ban ga.e shām-e-mohabbat ke sitāre aañsū
dekh saktā hai bhalā kaun ye paare aañsū
merī ā.ankhoñ meñ na aa jaa.eñ tumhāre aañsū
sham.a kā aks jhalaktā hai jo har aañsū meñ
ban ga.e bhīgī huī raat ke taare aañsū
meñh kī būñdoñ kī tarah ho ga.e saste kyuuñ aaj
motiyoñ se kahīñ mahñge the tumhāre aañsū
saaf iqrār-e-mohabbat ho zabāñ se kyūñkar
aañkh meñ aa ga.e yuuñ sharm ke maare aañsū
hijr abhī duur hai maiñ paas huuñ ai jān-e-vafā
kyuuñ hue jaate haiñ bechain tumhāre aañsū
sub.h-dam dekh na le koī ye bhīgā āñchal
merī chuġhlī kahīñ khā deñ na tumhāre aañsū
apne dāmān o garebāñ ko maiñ kyuuñ pesh karūñ
haiñ mire ishq kā in.aam tumhāre aañsū
dam-e-ruḳhsat hai qarīb ai ġham-e-furqat ḳhush ho
karne vaale haiñ judā.ī ke ishāre aañsū
sadqe us jān-e-mohabbat ke maiñ 'aḳhtar' jis ke
raat bhar bahte rahe shauq ke maare aañsū
mere pahlu mein jo bah nikle tumhaare aansu
ban gae sham-e-mohabbat ke sitare aansu
dekh sakta hai bhala kaun ye pare aansu
meri aaankhon mein na aa jaen tumhaare aansu
shama ka aks jhalakta hai jo har aansu mein
ban gae bhigi hui raat ke tare aansu
meinh ki bundon ki tarah ho gae saste kyun aaj
motiyon se kahin mahnge the tumhaare aansu
saf iqrar-e-mohabbat ho zaban se kyunkar
aankh mein aa gae yun sharm ke mare aansu
hijr abhi dur hai main pas hun ai jaan-e-wafa
kyun hue jate hain bechain tumhaare aansu
subh-dam dekh na le koi ye bhiga aanchal
meri chughli kahin kha den na tumhaare aansu
apne daman o gareban ko main kyun pesh karun
hain mere ishq ka inam tumhaare aansu
dam-e-ruKHsat hai qarib ai gham-e-furqat KHush ho
karne wale hain judai ke ishaare aansu
sadqe us jaan-e-mohabbat ke main 'aKHtar' jis ke
raat bhar bahte rahe shauq ke mare aansu
- Book : kulliyat-e-akhtar shirani (Pg. 85)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.