aansu
kisī kā ġham sun ke
merī palkoñ pe
ek aañsū jo aa gayā hai
ye aañsū kyā hai
ye aañsū kyā ik gavāh hai
merī dard-mandī kā merī insān-dostī kā
ye aañsū kyā ik subūt hai
merī zindagī meñ ḳhulūs kī ek raushnī kā
ye aañsū kyā ye batā rahā hai
ki mere siine meñ ek hassās dil hai
jis ne kisī kī dil-doz dāstāñ jo sunī
to sun ke taḌap uThā hai
parā.e sho.aloñ meñ jal rahā hai
pighal rahā hai
magar meñ phir ḳhud se pūchhtā huuñ
ye dāstāñ to abhī sunī hai
ye aañsū bhī kyā abhī Dhalā hai
ye aañsū
kyā maiñ ye samjhūñ
pahle kahīñ nahīñ thā
mujhe to shak hai ki ye kahīñ thā
ye mere dil aur merī palkoñ ke darmiyāñ
ik jo fāsla hai
jahāñ ḳhayāloñ ke shahr zinda haiñ
aur ḳhvāboñ kī turbateñ haiñ
jahāñ mohabbat ke ujḌe bāġhoñ meñ
talḳhiyoñ ke babūl haiñ
aur kuchh nahīñ hai
jahāñ se aage haiñ
uljhanoñ ke ghanere jañgal
ye aañsū
shāyad bahut dinoñ se
vahīñ chhupā thā
jinhoñ ne is ko janam diyā thā
vo rañj to maslahat ke hāthoñ
na jaane kab qatl ho ga.e the
to kartā phir kis pe naaz aañsū
ki ho gayā be-javāz aañsū
yatīm aañsū yasīr aañsū
na mo'tabar thā
na rāstoñ se hī bā-ḳhabar thā
to chalte chalte
vo tham gayā thā
ThiThak gayā thā
jhijhak gayā thā
idhar se aaj ik kisī ke ġham kī
kahānī kā kārvāñ jo guzrā
yatīm aañsū ne jaise jaanā
ki is kahānī kī sarparastī mile
to mumkin hai
raah paanā
to ik kahānī kī uñglī thāme
usī ke ġham ko rūmāl kartā
isī ke baare meñ
jhūTe sachche savāl kartā
ye merī palkoñ tak aa gayā hai
kisi ka gham sun ke
meri palkon pe
ek aansu jo aa gaya hai
ye aansu kya hai
ye aansu kya ek gawah hai
meri dard-mandi ka meri insan-dosti ka
ye aansu kya ek subut hai
meri zindagi mein KHulus ki ek raushni ka
ye aansu kya ye bata raha hai
ki mere sine mein ek hassas dil hai
jis ne kisi ki dil-doz dastan jo suni
to sun ke taDap uTha hai
parae shoalon mein jal raha hai
pighal raha hai
magar mein phir KHud se puchhta hun
ye dastan to abhi suni hai
ye aansu bhi kya abhi Dhala hai
ye aansu
kya main ye samjhun
pahle kahin nahin tha
mujhe to shak hai ki ye kahin tha
ye mere dil aur meri palkon ke darmiyan
ek jo fasla hai
jahan KHayalon ke shahr zinda hain
aur KHwabon ki turbaten hain
jahan mohabbat ke ujDe baghon mein
talKHiyon ke babul hain
aur kuchh nahin hai
jahan se aage hain
uljhanon ke ghanere jangal
ye aansu
shayad bahut dinon se
wahin chhupa tha
jinhon ne is ko janam diya tha
wo ranj to maslahat ke hathon
na jaane kab qatl ho gae the
to karta phir kis pe naz aansu
ki ho gaya be-jawaz aansu
yatim aansu yasir aansu
na mo'tabar tha
na raston se hi ba-KHabar tha
to chalte chalte
wo tham gaya tha
ThiThak gaya tha
jhijhak gaya tha
idhar se aaj ek kisi ke gham ki
kahani ka karwan jo guzra
yatim aansu ne jaise jaana
ki is kahani ki sarparasti mile
to mumkin hai
rah pana
to ek kahani ki ungli thame
usi ke gham ko rumal karta
isi ke bare mein
jhuTe sachche sawal karta
ye meri palkon tak aa gaya hai
- Book : LAVA (Pg. 25)
- Author : Javed Akhtar
- Publication : Rajkamal Parakashan Pvt. Ltd (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.