aansu
vo ek aañsū girā
vo dil ke athāh sāgar meñ ik sadaf kā bhī muñh khulā
vo āsmānoñ kā surma.ī rang
us ke aañsū meñ ghul ke
ruḳhsār ke shafaq par bahā
kahīñ duur jā ke dhartī ke gahre pātāl meñ girā
hazāroñ ākāsh-rang aañsū
havā ke tez aur tund jhoñkoñ meñ muntashir ho ga.e
samundar kī koh jaisī muhīb maujoñ ke andhe ġhāroñ meñ kho ga.e
magar vo aañsū
vo ek motī
jo merī putlī meñ jaḌ gayā hai
hazāroñ rangoñ kā mājrā hai
hazāroñ ashkoñ kā aa.ina hai
wo ek aansu gira
wo dil ke athah sagar mein ek sadaf ka bhi munh khula
wo aasmanon ka surmai rang
us ke aansu mein ghul ke
ruKHsar ke shafaq par baha
kahin dur ja ke dharti ke gahre patal mein gira
hazaron aakash-rang aansu
hawa ke tez aur tund jhonkon mein muntashir ho gae
samundar ki koh jaisi muhib maujon ke andhe ghaaron mein kho gae
magar wo aansu
wo ek moti
jo meri putli mein jaD gaya hai
hazaron rangon ka majra hai
hazaron ashkon ka aaina hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.