Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aao chalen man

Salam Machhli shahri

aao chalen man

Salam Machhli shahri

MORE BYSalam Machhli shahri

    aao chaleñ maañ ThanDī fazāoñ meñ

    shahroñ se duur kahīñ chhoTe se gaañv meñ

    maanā ye chāñdī duniyā hasīn hai

    dhartī hūroñ jalva hasīn hai

    ūñche ūñche mahloñ naġhma hasīn hai

    kaise yahāñ ghūmūñ ki zor nahīñ paañv meñ

    aao chaleñ maañ ThanDī fazāoñ meñ

    shahroñ se duur kahīñ chhoTe se gaañv meñ

    chaar taraf apnī taraqqī zor hai

    naach rahā jaise ki jañgal meñ mor hai

    baḌī baḌī zinda mashīnoñ shor hai

    saañs ghuTī jaa.e yahāñ havāoñ meñ

    aao chaleñ maañ ThanDī fazāoñ meñ

    shahroñ se duur kahīñ chhoTe se gaañv meñ

    saḌkoñ pe galiyoñ meñ filmī tarāna

    yaad nahīñ lekin ḳhushī fasāna

    in ko mubārak mohazzab zamāna

    kaun rahe sundar manohar balāoñ meñ

    aao chaleñ maañ ThanDī fazāoñ meñ

    shahroñ se duur kahīñ chhoTe se gaañv meñ

    insān jaise hoñ baasī mazār ke

    phir bhī hañseñ ham ko dehātī pukār ke

    TuuT ga.e taar yahāñ man ke sitār ke

    jannat hamārī vahīñ pīpal chhāñv meñ

    aao chaleñ maañ ThanDī fazāoñ meñ

    shahroñ se duur kahīñ chhoTe se gaañv meñ

    abbā aa.e haiñ roTī kamāne

    biit rahī kyā in pe allāh jaane

    apne mileñ is tarah jaise begāne

    jaan nahīñ koī bhī naqlī adāoñ meñ

    aao chaleñ maañ ThanDī fazāoñ meñ

    shahroñ se duur kahīñ chhoTe se gaañv meñ

    aao chalen man ThanDi fazaon mein

    shahron se dur kahin chhoTe se ganw mein

    mana ye chandi ki duniya hasin hai

    dharti ki huron ka jalwa hasin hai

    unche unche mahlon ka naghma hasin hai

    kaise yahan ghumun ki zor nahin panw mein

    aao chalen man ThanDi fazaon mein

    shahron se dur kahin chhoTe se ganw mein

    chaar taraf apni taraqqi ka zor hai

    nach raha jaise ki jangal mein mor hai

    baDi baDi zinda mashinon ka shor hai

    sans ghuTi jae yahan ki hawaon mein

    aao chalen man ThanDi fazaon mein

    shahron se dur kahin chhoTe se ganw mein

    saDkon pe galiyon mein filmi tarana

    yaad nahin lekin KHushi ka fasana

    in ko mubarak mohazzab zamana

    kaun rahe sundar manohar balaon mein

    aao chalen man ThanDi fazaon mein

    shahron se dur kahin chhoTe se ganw mein

    insan jaise hon basi mazar ke

    phir bhi hansen hum ko dehati pukar ke

    TuT gae tar yahan man ke sitar ke

    jannat hamari wahin pipal ki chhanw mein

    aao chalen man ThanDi fazaon mein

    shahron se dur kahin chhoTe se ganw mein

    abba ji aae hain roTi kamane

    bit rahi kya in pe allah jaane

    apne milen is tarah jaise begane

    jaan nahin koi bhi naqli adaon mein

    aao chalen man ThanDi fazaon mein

    shahron se dur kahin chhoTe se ganw mein

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now