aao jine ki baaten karen
āsmāñ kī tarah
nā-rasā.ī kī chādar
hamāre saroñ par tanī hai
(jis meñ dukh ke sitāre Take haiñ)
us kī jānib se nazreñ churā.eñ
aaj kī raat sab bhuul jaa.eñ
aao jiine kī bāteñ kareñ
kaun jaane ki kyā hai vafā
kis ne DhūñDe se paayā ḳhudā
in jhameloñ meñ paḌne se kyā
aao jiine kī bāteñ kareñ
aasman ki tarah
na-rasai ki chadar
hamare saron par tani hai
(jis mein dukh ke sitare Take hain)
us ki jaanib se nazren churaen
aaj ki raat sab bhul jaen
aao jine ki baaten karen
kaun jaane ki kya hai wafa
kis ne DhunDe se paya KHuda
in jhamelon mein paDne se kya
aao jine ki baaten karen
- Book : ishq ki taqweem men (Pg. 99)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.