aao ki koi KHwab bunen
aao ki koī ḳhvāb buneñ kal ke vāste
varna ye raat aaj ke sañgīn daur kī
Das legī jaan o dil ko kuchh aaise ki jaan o dil
tā-umr phir na koī hasīñ ḳhvāb bun sakeñ
go ham se bhāgtī rahī ye tez-gām umar
ḳhvāboñ ke āsare pe kaTī hai tamām umar
zulfoñ ke ḳhvāb hoñToñ ke ḳhvāb aur badan ke ḳhvāb
me.arāj-e-fan ke ḳhvāb kamāl-e-suḳhan ke ḳhvāb
tahzīb-e-zindagī ke faroġh-e-vatan ke ḳhvāb
zindāñ ke ḳhvāb kūcha-e-dār-o-rasan ke ḳhvāb
ye ḳhvāb hī to apnī javānī ke paas the
ye ḳhvāb hī to apne amal kī asaas the
ye ḳhvāb mar ga.e haiñ to be-rañg hai hayāt
yuuñ hai ki jaise dast-e-tah-e-sañg hai hayāt
aao ki koī ḳhvāb buneñ kal ke vāste
varna ye raat aaj ke sañgīn daur kī
Das legī jaan o dil ko kuchh aaise ki jaan o dil
tā-umr phir na koī hasīñ ḳhvāb bun sakīñ
aao ki koi KHwab bunen kal ke waste
warna ye raat aaj ke sangin daur ki
Das legi jaan o dil ko kuchh aaise ki jaan o dil
ta-umr phir na koi hasin KHwab bun saken
go hum se bhagti rahi ye tez-gam umar
KHwabon ke aasare pe kaTi hai tamam umar
zulfon ke KHwab honTon ke KHwab aur badan ke KHwab
mearaj-e-fan ke KHwab kamal-e-suKHan ke KHwab
tahzib-e-zindagi ke farogh-e-watan ke KHwab
zindan ke KHwab kucha-e-dar-o-rasan ke KHwab
ye KHwab hi to apni jawani ke pas the
ye KHwab hi to apne amal ki asas the
ye KHwab mar gae hain to be-rang hai hayat
yun hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayat
aao ki koi KHwab bunen kal ke waste
warna ye raat aaj ke sangin daur ki
Das legi jaan o dil ko kuchh aaise ki jaan o dil
ta-umr phir na koi hasin KHwab bun sakin
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 190)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.