aao phir se diya jalaen
bharī do-pahrī meñ añdhiyārā
sūraj parchhā.īñ se haarā
anatratm kā neh nichoḌeñ bujhī huī baaqī sulgā.eñ
aao phir se diyā jalā.eñ
ham paḌāv ko samjhe manzil
lakshya huā āñkhoñ se ojhal
vartamān ke moh jaal meñ aane vaalā kal na bhulā.eñ
aao phir se diyā jalā.eñ
āhūtī baaqī yagya adhūrā
apnoñ ke vighnoñ ne gherā
antim jai kā vajr banāne nau dadhichī haDDiyāñ galā.eñ
aao phir se diyā jalā.eñ
bhari do-pahri mein andhiyara
suraj parchhain se haara
anatratm ka neh nichoDen bujhi hui baqi sulgaen
aao phir se diya jalaen
hum paDaw ko samjhe manzil
lakshya hua aankhon se ojhal
wartaman ke moh jal mein aane wala kal na bhulaen
aao phir se diya jalaen
aahuti baqi yagya adhura
apnon ke wighnon ne ghera
antim jai ka wajr banane nau dadhichi haDDiyan galaen
aao phir se diya jalaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.