aao up
kirshn aur raam ke autār dikhā.eñge tumheñ
up aao kabhī chamatkār dikhā.eñge tumheñ
kabīr suur tulsī aur ḳhusrav hī nahīñ
baḌh kar ek se ek fankār dikhā.eñge tumheñ
jaise bichhḌī huī do bahne gale miltī huuñ
gañgā jamunā kī pāvan dhaar dikhā.eñge tumheñ
diloñ meñ ehsāshoñ kī narm garmāhaT liye
karte haiñ kaise aadar satkār dikhā.eñge tumheñ
kirshn aur ram ke autar dikhaenge tumhein
up aao kabhi chamatkar dikhaenge tumhein
kabir sur tulsi aur KHusraw hi nahin
baDh kar ek se ek fankar dikhaenge tumhein
jaise bichhDi hui do bahne gale milti hun
ganga jamuna ki pawan dhaar dikhaenge tumhein
dilon mein ehsashon ki narm garmahaT liye
karte hain kaise aadar satkar dikhaenge tumhein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.