aap bhi to kuchh bolen
raat chāhe jitnī bhī
be-hayā ho kaalī ho
aas ke sitāroñ se āsmān ḳhālī ho
sub.h kī hikāyat par gāliyoñ kī bārish ho
aur ghup añdhere se sab pe ḳhauf taarī ho
phir bhī raat jā.egī
phir bhī sub.h aa.egī
chāhe jaisā patjhaḌ ho
jitnā tez jhakkaḌ ho
bijliyoñ kā kaḌkā ho
āshiyāñ ke jalne kā sub.h-o-shām dhaḌkā ho
bāġhbāñ nigoḌā ho
baaġh chhoḌ kar apnā
dar-ba-dar bhaTaktā ho
peḌ paude jalte hoñ man kī baat kartā ho
aur nero ke jaisā bāñsurī bajātā ho
phir bhī koñpleñ taaza
shāḳh-shāḳh phūTeñgī
phir bahār aa.egī
bāñjh-rut ye jā.egī
lekin ai gulistāñ ke jāñ-nisār parvāno
raushnī ke dīvāno
sub.h-e-nau ke aane meñ aap kā kyā hissa ho
aap bhī to muñh kholeñ
mar ga.e ki zinda haiñ
aap bhī to kuchh boleñ
raat chahe jitni bhi
be-haya ho kali ho
aas ke sitaron se aasman KHali ho
subh ki hikayat par galiyon ki barish ho
aur ghup andhere se sab pe KHauf tari ho
phir bhi raat jaegi
phir bhi subh aaegi
chahe jaisa patjhaD ho
jitna tez jhakkaD ho
bijliyon ka kaDka ho
aashiyan ke jalne ka subh-o-sham dhaDka ho
baghban nigoDa ho
bagh chhoD kar apna
dar-ba-dar bhaTakta ho
peD paude jalte hon man ki baat karta ho
aur nero ke jaisa bansuri bajata ho
phir bhi konplen taza
shaKH-shaKH phuTengi
phir bahaar aaegi
banjh-rut ye jaegi
lekin ai gulistan ke jaan-nisar parwano
raushni ke diwano
subh-e-nau ke aane mein aap ka kya hissa ho
aap bhi to munh kholen
mar gae ki zinda hain
aap bhi to kuchh bolen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.