aap-biti
1
yuuñ to marne ke liye zahr sabhī piite haiñ
zindagī tere liye zahr piyā hai maiñ ne
sham.a jaltī hai par ik raat meñ jal jaatī hai
yaañ to ek umr isī tarah se jalte guzrī
kaun sī ḳhaak hai ye jaane kahāñ kā hai ḳhamīr
ik na.e sāñche meñ har roz hī Dhalte guzrī
kis tarah maiñ ne guzārī haiñ ye ġham kī ghaḌiyāñ
kaash maiñ aisī kahānī ko sunā bhī saktā
ta.ana-zan haiñ jo mire haal pe arbāb-e-nashāt
un ko ik baar maiñ ai kaash rulā bhī saktā
maiñ ki shā.er huuñ maiñ paiġhāmbar-e-fitrat huuñ
merī taḳh.īl meñ hai ek jahān-e-bedār
dastaras meñ mirī nazzāra-e-gul-hā-e-chaman
mere idrāk meñ haiñ kun-fayakūñ ke asrār
mire ash.ār meñ hai qalb-e-hazīñ kī dhaḌkan
merī nazmoñ meñ mirī ruuh kī dil-doz pukār
phir bhī rah rah ke khaTaktī hai mire dil meñ ye baat
ki mire paas to alfāz kā ik parda hai
sirf alfāz se tasvīr nahīñ ban saktī
sirf ehsās meñ hālāt kī tafsīr kahāñ
sirf fariyād meñ zaḳhmoñ kī vo zanjīr kahāñ
aisī zanjīr ki ek ek kaḌī meñ jis kī
kitnī khoī huī ḳhushiyoñ ke manāzir pinhāñ
kitnī bhūlī huī yādoñ ke pur-asrār khañDar
kitne ujḌe hue luuTe hue sunsān nagar
kitne aate hue jaate hue chehroñ ke nuqūsh
kitne bante hue miTte hue lamhāt kā raaz
kitnī uljhī huī rāhoñ ke nasheb aur farāz
2
kyā kahūñ mujh ko kahāñ laa.ī mirī umr-e-ravāñ
aañkh kholī to har ik samt añdheroñ kā samāñ
reñgtī ūñghtī maġhmūm sī ik rāhguzār
gard-e-ālām meñ khoyā huā manzil kā nishāñ
gesū-e-shām se lipTī huī ġham kī zanjīr
sīna-e-shab se nikaltī huī fariyād-o-fuġhāñ
ThanDī ThanDī sī havāoñ meñ vo ġhurbat kī thakan
dar-o-dīvār pe tārīk se saa.e larzāñ
kitnī khoī huī bīmār o fasurda āñkheñ
TimTimāte se diye chaar taraf nauha-kunāñ
muzmahil chehre masā.ib kī girāñ-bārī se
dil-e-majrūh se uThtā huā ġhamnāk dhuāñ
yahī tārīkī-e-ġham to mirā gahvāra hai
maiñ isī kokh meñ thā nūr-e-sahar ke mānind
har taraf sog meñ Duubā huā merā māhaul
merā ujḌā huā ghar 'mīr' ke ghar ke mānind
ik taraf azmat-e-aslāf kā māthe pe ġhurūr
aur ik samt vo iflās ke phaile hue jaal
bhuuk kī aag meñ jhulse hue saare armāñ
qarz ke bojh se jiine kī umañgeñ pāmāl
vaqt kī dhund meñ lipTe hue kuchh pyaar ke giit
mehr o iḳhlās zamāne kī jafāoñ se niDhāl
bhaa.ī bhaa.ī kī mohabbat meñ nirāle se shukūk
nigah-e-ġhair meñ jis tarah anokhe se savāl
''ek hañgāme pe mauqūf thī ghar kī raunaq''
muflisī saath liye aa.ī thī ik jañg-o-jidāl
fāqa-mastī meñ bikharte hue saare rishte
tañg-dastī ke sabab saarī fazā.eñ behāl
ik jahannam kī tarah thā ye mirā gahvāra
is jahannam meñ mere baap ne dam toḌ diyā
TuuT kar rah ga.e bachpan ke suhāne sapne
mujh se muñh pher liyā jaise mirī shoḳhī ne
mere hañste hue chehre pe udāsī chhā.ī
jaise ik raat bhayānak mire sar par aa.ī
rāheñ dushvār magar rāh-numā koī na thā
sāmne vus.at-e-aflāk ḳhudā koī na thā
mere ajdād kī mīrās ye vīrān sā ghar
jis ko ghere hue har samt tabāhī ke bhañvar
jis kī chhat girtī huī TuuTā huā darvāza
har taraf jaise bikhartā huā ik shīrāza
na kahīñ atlas-o-kamḳhvāb na dībā-o-harīr
har taraf muñh ko basore hue jaise taqdīr
mujh ko us ghar se mohabbat to bhalā kyā hotī
yaañ agar dil meñ na jiine kī tamannā hotī
ye samajh kar ki yahī hai mirī qismat kā likhā
us kī dīvār ke saa.e meñ lipTā rahtā
lekin is dil kī ḳhalish ne mujhe bedār kiyā
mujh ko hālāt se āmāda-e-paikār kiyā
be-kasī raḳht-e-safar ban kar mire saath chalī
yaad aa.ī thī mujhe gaañv kī ek ek galī
lahlahātī huī fasleñ vo mire aam ke baaġh
vo makānoñ meñ larazte hue dhuñdle se charāġh
duur tak paanī meñ phaile hue vo dhaan ke khet
aur tālāb-kināre vo chamaktī huī ret
mere ham-umr vo sāthī vo mire ham-jolī
mere schōl ke vo dost mirī vo Tolī
ek baar un kī nigāhoñ ne mujhe dekhā thā
jaise ik baar mire dil ne bhī kuchh sochā thā
''maiñ ne jab vādi-e-ġhurbat meñ qadam rakkhā thā
duur tak yād-e-vatan aa.ī thī samjhāne ko''
1
yun to marne ke liye zahr sabhi pite hain
zindagi tere liye zahr piya hai main ne
shama jalti hai par ek raat mein jal jati hai
yan to ek umr isi tarah se jalte guzri
kaun si KHak hai ye jaane kahan ka hai KHamir
ek nae sanche mein har roz hi Dhalte guzri
kis tarah main ne guzari hain ye gham ki ghaDiyan
kash main aisi kahani ko suna bhi sakta
tana-zan hain jo mere haal pe arbab-e-nashat
un ko ek bar main ai kash rula bhi sakta
main ki shaer hun main paighambar-e-fitrat hun
meri taKHil mein hai ek jahan-e-bedar
dastaras mein meri nazzara-e-gul-ha-e-chaman
mere idrak mein hain kun-fayakun ke asrar
mere ashaar mein hai qalb-e-hazin ki dhaDkan
meri nazmon mein meri ruh ki dil-doz pukar
phir bhi rah rah ke khaTakti hai mere dil mein ye baat
ki mere pas to alfaz ka ek parda hai
sirf alfaz se taswir nahin ban sakti
sirf ehsas mein haalat ki tafsir kahan
sirf fariyaad mein zaKHmon ki wo zanjir kahan
aisi zanjir ki ek ek kaDi mein jis ki
kitni khoi hui KHushiyon ke manazir pinhan
kitni bhuli hui yaadon ke pur-asrar khanDar
kitne ujDe hue luTe hue sunsan nagar
kitne aate hue jate hue chehron ke nuqush
kitne bante hue miTte hue lamhat ka raaz
kitni uljhi hui rahon ke nasheb aur faraaz
2
kya kahun mujh ko kahan lai meri umr-e-rawan
aankh kholi to har ek samt andheron ka saman
rengti unghti maghmum si ek rahguzar
gard-e-alam mein khoya hua manzil ka nishan
gesu-e-sham se lipTi hui gham ki zanjir
sina-e-shab se nikalti hui fariyaad-o-fughan
ThanDi ThanDi si hawaon mein wo ghurbat ki thakan
dar-o-diwar pe tarik se sae larzan
kitni khoi hui bimar o fasurda aankhen
TimTimate se diye chaar taraf nauha-kunan
muzmahil chehre masaib ki giran-bari se
dil-e-majruh se uThta hua ghamnak dhuan
yahi tariki-e-gham to mera gahwara hai
main isi kokh mein tha nur-e-sahar ke manind
har taraf sog mein Duba hua mera mahaul
mera ujDa hua ghar 'mir' ke ghar ke manind
ek taraf azmat-e-aslaf ka mathe pe ghurur
aur ek samt wo iflas ke phaile hue jal
bhuk ki aag mein jhulse hue sare arman
qarz ke bojh se jine ki umangen pamal
waqt ki dhund mein lipTe hue kuchh pyar ke git
mehr o iKHlas zamane ki jafaon se niDhaal
bhai bhai ki mohabbat mein nirale se shukuk
nigah-e-ghair mein jis tarah anokhe se sawal
ek hangame pe mauquf thi ghar ki raunaq
muflisi sath liye aai thi ek jang-o-jidal
faqa-masti mein bikharte hue sare rishte
tang-dasti ke sabab sari fazaen behaal
ek jahannam ki tarah tha ye mera gahwara
is jahannam mein mere bap ne dam toD diya
TuT kar rah gae bachpan ke suhane sapne
mujh se munh pher liya jaise meri shoKHi ne
mere hanste hue chehre pe udasi chhai
jaise ek raat bhayanak mere sar par aai
rahen dushwar magar rah-numa koi na tha
samne wusat-e-aflak KHuda koi na tha
mere ajdad ki miras ye viran sa ghar
jis ko ghere hue har samt tabahi ke bhanwar
jis ki chhat girti hui TuTa hua darwaza
har taraf jaise bikharta hua ek shiraaza
na kahin atlas-o-kamKHwab na diba-o-harir
har taraf munh ko basore hue jaise taqdir
mujh ko us ghar se mohabbat to bhala kya hoti
yan agar dil mein na jine ki tamanna hoti
ye samajh kar ki yahi hai meri qismat ka likha
us ki diwar ke sae mein lipTa rahta
lekin is dil ki KHalish ne mujhe bedar kiya
mujh ko haalat se aamada-e-paikar kiya
be-kasi raKHt-e-safar ban kar mere sath chali
yaad aai thi mujhe ganw ki ek ek gali
lahlahati hui faslen wo mere aam ke bagh
wo makanon mein larazte hue dhundle se charagh
dur tak pani mein phaile hue wo dhan ke khet
aur talab-kinare wo chamakti hui ret
mere ham-umr wo sathi wo mere ham-joli
mere school ke wo dost meri wo Toli
ek bar un ki nigahon ne mujhe dekha tha
jaise ek bar mere dil ne bhi kuchh socha tha
main ne jab wadi-e-ghurbat mein qadam rakkha tha
dur tak yaad-e-watan aai thi samjhane ko
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 131)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.