Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aapko bhulne ki aadat hai

Shagufta Naim Hashmi

aapko bhulne ki aadat hai

Shagufta Naim Hashmi

MORE BYShagufta Naim Hashmi

    aap ko bhūlne aadat hai

    ye ravayya baḌā musbat hai

    vo jo aksar bhuul jaatā hai

    bhuul jaatā hai ġham se naata hai

    bhuul jaane ye jo kasrat hai

    ye ravayya baḌā musbat hai

    ek kal thā ki jo guzar bhī gayā

    ek kal hai abhī nahīñ aaya

    aaj meñ jiine pe jo qudrat hai

    ye ravayya baḌā musbat hai

    jo burā vaqt pīchhe guzrā ho

    vo to maazī ek hissa hai

    jo kahe aaj haqīqat hai

    ye ravayya baḌā musbat hai

    ġham to is zindagī hissa haiñ

    aap merā sab qissa haiñ

    ġham meñ ronā to sab fitrat hai

    ye ravayya baḌā musbat hai

    jab akele hoñ ḳhud se baat kareñ

    apnī tanhā.ī na ranj kareñ

    gar ye samjheñ ki ye ġhanīmat hai

    ye ravayya baḌā musbat hai

    vaqt ko vaqt se churā lenā

    ḳhud se ḳhud ko kabhī milā lenā

    qīmtī bas vahī to saa.at hai

    ye ravayya baḌā musbat hai

    aap ko bhulne ki aadat hai

    ye rawayya baDa hi musbat hai

    wo jo aksar hi bhul jata hai

    bhul jata hai gham se nata hai

    bhul jaane ki ye jo kasrat hai

    ye rawayya baDa hi musbat hai

    ek kal tha ki jo guzar bhi gaya

    ek kal hai abhi nahin aaya

    aaj mein jine pe jo qudrat hai

    ye rawayya baDa hi musbat hai

    jo bura waqt pichhe guzra ho

    wo to mazi ka ek hissa hai

    jo kahe aaj hi haqiqat hai

    ye rawayya baDa hi musbat hai

    gham to is zindagi ka hissa hain

    aap ka mera sab ka qissa hain

    gham mein rona to sab ki fitrat hai

    ye rawayya baDa hi musbat hai

    jab akele hon KHud se baat karen

    apni tanhai ka na ranj karen

    gar ye samjhen ki ye ghanimat hai

    ye rawayya baDa hi musbat hai

    waqt ko waqt se chura lena

    KHud se KHud ko kabhi mila lena

    qimti bas wahi to saat hai

    ye rawayya baDa hi musbat hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now