aap mujhe bachcha mat kahiye
aap mujhe bachcha mat kahiye
maiñ kyā jānūñ bachpan kyā hai
ghar kyā ghar kā āñgan kyā hai
jo kuchh hai fōtpath hai apnā
janam janam kā saath hai apnā
haañ kuchh din schōl gayā huuñ
lekin sab kuchh bhuul gayā huuñ
sāhab ke juute chamkā.ūñ
hotel hotel paayā jā.ūñ
garage garage kaam karūñ maiñ
mehnat sub.h-o-shām karūñ maiñ
saḌkoñ par kartab dikhlā.ūñ
local train meñ gaanā gā.ūñ
saal mahīne ghaḌiyāñ bechūñ
mele meñ phuljhaḌiyāñ bechūñ
aap mujhe bachcha mat kahiye
aap mujhe bachcha mat kahiye
main kya jaanun bachpan kya hai
ghar kya ghar ka aangan kya hai
jo kuchh hai footpath hai apna
janam janam ka sath hai apna
han kuchh din school gaya hun
lekin sab kuchh bhul gaya hun
sahab ke jute chamkaun
hotel hotel paya jaun
garage garage kaam karun main
mehnat subh-o-sham karun main
saDkon par kartab dikhlaun
local train mein gana gaun
sal mahine ghaDiyan bechun
mele mein phuljhaDiyan bechun
aap mujhe bachcha mat kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.