aara-kash ne
alif anā ko kaaT diyā
apne saa.e par auñdhā girne vaalā
maiñ thā lekin kyā kartā
mere shahr kī saarī galiyāñ
band bhī thiiñ mutavāzī bhī
taḳhtiyāñ har darvāze par
ek hī naam kī laTkī thiiñ
maiñ kyā kartā
shahr ke girdā-gird sadhā.e fatvoñ kī dīvāreñ thiiñ
koh shamā.il dīvāreñ
jin se bāhar sirf janāzoñ ke jaane kā rasta thā
alif ana ko kaT diya
apne sae par aundha girne wala
main tha lekin kya karta
mere shahr ki sari galiyan
band bhi thin mutawazi bhi
taKHtiyan har darwaze par
ek hi nam ki laTki thin
main kya karta
shahr ke girda-gird sadhae fatwon ki diwaren thin
koh shamail diwaren
jin se bahar sirf janazon ke jaane ka rasta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.