aaraf
savāliya nishān kī qatār meñ khaḌe hue mufakkiro!
javāb do
vo kaun, kaisā, kis liye, kahāñ pe, kab se, kab talak?
savāl-e-shash-jahāt kā javāb koī ab talak?
''magar yahāñ kushād-e-chashm-o-lab kisī ke bas meñ hai
savāl tak rasā.ī jab muhāl hai
to himmat-e-javāb kis ke bas meñ hai
vo kis kī dastaras meñ hai
jo ma.arifat ke lab khule
to pattharoñ kī bārishoñ se sūliyāñ lahūluhān ho ga.iiñ
agar kisī payambar-e-azīm kī nazar uThī
nigāh bāzgasht-e-nā-murād kī shikastagī ke vaar se
basīratoñ ke zo.am meñ basārteñ bhī jal ga.iiñ
to Thiik hai
tumheñ kushād-e-chashm-o-lab kī lazzatoñ kī kyā ḳhabar
so tum hanūz barzaḳh-e-tazabzub-o-gumān meñ paḌe raho
mufakkiro!
savāliya nishān kī qatār meñ khaḌe raho
sawaliya nishan ki qatar mein khaDe hue mufakkiro!
jawab do
wo kaun, kaisa, kis liye, kahan pe, kab se, kab talak?
sawal-e-shash-jahat ka jawab koi ab talak?
magar yahan kushad-e-chashm-o-lab kisi ke bas mein hai
sawal tak rasai jab muhaal hai
to himmat-e-jawab kis ke bas mein hai
wo kis ki dastaras mein hai
jo marifat ke lab khule
to pattharon ki barishon se suliyan lahuluhan ho gain
agar kisi payambar-e-azim ki nazar uThi
nigah bazgasht-e-na-murad ki shikastagi ke war se
basiraton ke zoam mein basarten bhi jal gain
to Thik hai
tumhein kushad-e-chashm-o-lab ki lazzaton ki kya KHabar
so tum hanuz barzaKH-e-tazabzub-o-guman mein paDe raho
mufakkiro!
sawaliya nishan ki qatar mein khaDe raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.