aarzuon ko wusat na do
ārzuoñ ko vus.at na do
apne hī dā.ere meñ muqayyad karo
varna ye phail kar
har taraf se tumheñ gher leñgī
noch Dāleñgī zaḳhmī kareñgī
ḳhud bikhar jā.eñge mar jā.eñge
apnī hī laash sar par uThā.e
beach bāzār nañge phiroge
apne hī log nazdīk aa kar
tum ko dekheñge muñh pher leñge
tum ko ġhalatī kā ehsās hogā
thuuk nigloge kaḌvā lagegā
raat vīrān be kaif hogī
din pahāḌoñ sā bhārī lagegā
ārzūoñ ko vus.at na do
apne hī dā.ere meñ muqayyad karo
varna ye phail kar
har taraf se tumheñ gher leñgī
aarzuon ko wusat na do
apne hi daere mein muqayyad karo
warna ye phail kar
har taraf se tumhein gher lengi
noch Dalengi zaKHmi karengi
KHud bikhar jaenge mar jaenge
apni hi lash sar par uThae
beach bazar nange phiroge
apne hi log nazdik aa kar
tum ko dekhenge munh pher lenge
tum ko ghalati ka ehsas hoga
thuk nigloge kaDwa lagega
raat viran be kaif hogi
din pahaDon sa bhaari lagega
aarzuon ko wusat na do
apne hi daere mein muqayyad karo
warna ye phail kar
har taraf se tumhein gher lengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.