aarzu
aaj phir mire dil ko ye aarzū hai
na bichhḌe jo mire rū-ba-rū hai
ye mujh se chāhat ke va.ade jatā rahā hai
merā hai yaqīñ dil-rubā hai
ye dil kashmakash meñ mubtalā hai
ki is kaifiyat se guzar chukā hai
ye chāhat ke da.ave bhī sun chukā hai
aur bikhre jazbe bhī chun chukā hai
is chāhne vaale ke dil meñ maiñ huuñ
maiñ is kā armāñ dil-o-jigar huuñ
mere bhī dil ke
har ek goshe meñ ye basā hai
shahr-e-tamannā pe chhā chukā hai
dil meñ phir bhī yahī gumāñ hai
hai aur koī
koī yahāñ hai
kyūñki
vahī hai mausam
vahī samā hai
aaj phir mere dil ko ye aarzu hai
na bichhDe jo mere ru-ba-ru hai
ye mujh se chahat ke wade jata raha hai
mera hai yaqin dil-ruba hai
ye dil kashmakash mein mubtala hai
ki is kaifiyat se guzar chuka hai
ye chahat ke dawe bhi sun chuka hai
aur bikhre jazbe bhi chun chuka hai
is chahne wale ke dil mein main hun
main is ka arman dil-o-jigar hun
mere bhi dil ke
har ek goshe mein ye basa hai
shahr-e-tamanna pe chha chuka hai
dil mein phir bhi yahi guman hai
hai aur koi
koi yahan hai
kyunki
wahi hai mausam
wahi sama hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.