Dham Dham Dham Dham Dholak baaje
chham-chham chham-chham bhālū nāche
Thumak Thumak kar mādho nāche
maTak maTak kar rāghav nāche
chhoTā bhayyā bhuTTū nāche
har pinjre kā miTThū nāche
suuñD uThā kar hāthī nāche
hāthī kā har sāthī nāche
hin hin kar ke ghoḌā nāche
ghoḌe kā har joḌā nāche
bhābhī nāche bhayyā nāche
taatā taatā thayyā nāche
gorā nāche kaalā nāche
mastī meñ dil vaalā nāche
ghuñghrū chhan-chhan chhan-chhan nāche
chūḌī nāche kañgan nāche
nannhī bhī to paa.el bāñdhe
apne nanhe paañv ko sādhe
maTak maTak kar chham-chham nāche
paañv paTak kar dham dham nāche
aisā koī mausam aa.e
mastī meñ har man lahrā.e
Dham Dham Dham Dham Dholak baje
chham-chham chham-chham bhaalu nache
Thumak Thumak kar madho nache
maTak maTak kar raghaw nache
chhoTa bhayya bhuTTu nache
har pinjre ka miTThu nache
sunD uTha kar hathi nache
hathi ka har sathi nache
hin hin kar ke ghoDa nache
ghoDe ka har joDa nache
bhabhi nache bhayya nache
tata tata thayya nache
gora nache kala nache
masti mein dil wala nache
ghunghru chhan-chhan chhan-chhan nache
chuDi nache kangan nache
nannhi bhi to pael bandhe
apne nanhe panw ko sadhe
maTak maTak kar chham-chham nache
panw paTak kar dham dham nache
aisa koi mausam aae
masti mein har man lahrae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.