sote sote chauñk uThī jab palkoñ kī jhankār
ābādī par vīrāne kā hone lagā gumān
vahshat ne par khol diye aur dhundle hue nishān
har lamhe kī aahaT ban ga.ī sāñpoñ kī funkār
aise vaqt meñ dil ko hamesha sūjhā ek upaa.e
kaash koī be-ḳhvāb darīcha chupke se khul jaa.e
sote sote chaunk uThi jab palkon ki jhankar
aabaadi par virane ka hone laga guman
wahshat ne par khol diye aur dhundle hue nishan
har lamhe ki aahaT ban gai sanpon ki funkar
aise waqt mein dil ko hamesha sujha ek upae
kash koi be-KHwab daricha chupke se khul jae
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 57)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.