aasar-e-qadima
ek patthar kī adhūrī mūrat
chand tāñbe ke purāne sikke
kaalī chāñdī ke ajab se zevar
aur ka.ī kāñse ke TuuTe bartan
ek sahrā mile
zer-e-zamīñ
log kahte haiñ ki sadiyoñ pahle
aaj sahrā hai jahāñ
vahīñ ik shahr huā kartā thā
aur mujh ko ye ḳhayāl aatā hai
kisī taqrīb
kisī mahfil meñ
sāmnā tujh se mirā aaj bhī ho jaatā hai
ek lamhe ko
bas ik pal ke liye
jism kī aañch
uchaTtī sī nazar
surḳh bindiyā kī damak
sarsarāhaT tirī malbūs kī
bāloñ kī mahak
be-ḳhayālī meñ kabhī
lams kā nanhā sā phuul
aur phir duur tak vahī sahrā
vahī sahrā ki jahāñ
kabhī ik shahr huā kartā thā
ek patthar ki adhuri murat
chand tanbe ke purane sikke
kali chandi ke ajab se zewar
aur kai kanse ke TuTe bartan
ek sahra mile
zer-e-zamin
log kahte hain ki sadiyon pahle
aaj sahra hai jahan
wahin ek shahr hua karta tha
aur mujh ko ye KHayal aata hai
kisi taqrib
kisi mahfil mein
samna tujh se mera aaj bhi ho jata hai
ek lamhe ko
bas ek pal ke liye
jism ki aanch
uchaTti si nazar
surKH bindiya ki damak
sarsarahaT teri malbus ki
baalon ki mahak
be-KHayali mein kabhi
lams ka nanha sa phul
aur phir dur tak wahi sahra
wahi sahra ki jahan
kabhi ek shahr hua karta tha
- Book : Tarkash (Pg. 106)
- Author : Javed Akhtar
- Publication : Star Publications Pvt. Ltd (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.