Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aasar-e-qadima se nikla ek nawishta

Hasan Abbas Raza

aasar-e-qadima se nikla ek nawishta

Hasan Abbas Raza

MORE BYHasan Abbas Raza

    hamārī aañkh meñ nokīle kāñTe

    aur badan meñ

    zahr ke neze tarāzū ho chuke the

    jab siyah shab ne

    gulābī sub.h ke ġharqāb hone ḳhabar par

    ham se faurī tabsira māñgā

    hamāre hoñT

    itne ḳhushk,

    aur itne darīda the

    ki ham ik lafz bhī kahte

    to reza reza ho jaate

    qalam hāthoñ meñ kyā lete

    ki apne haath pahle qalam the

    (kyā suḳhan kahte

    kahāñ likhte, kise likhte)

    so ahl-e-jāh ne

    jo tabsira (jo qatl-nāma) sāmne rakkhā

    ham ahl-e-sabr ne

    ḳhūñ-rañg hoñToñ darīda mehr

    us par sabt kar

    hamari aankh mein nokile kanTe

    aur badan mein

    zahr ke neze taraazu ho chuke the

    jab siyah shab ne

    gulabi subh ke gharqab hone ki KHabar par

    hum se fauri tabsira manga

    hamare honT

    itne KHushk,

    aur itne darida the

    ki hum ek lafz bhi kahte

    to reza reza ho jate

    qalam hathon mein kya lete

    ki apne hath pahle hi qalam the

    (kya suKHan kahte

    kahan likhte, kise likhte)

    so ahl-e-jah ne

    jo tabsira (jo qatl-nama) samne rakkha

    hum ahl-e-sabr ne

    KHun-rang honTon ki darida mehr

    us par sabt kar di

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now