aashiyan DhunDhti hai
thakī haarī chiḌiyoñ ke
ik ġhol kī tarah
jab shaam utrī
ghane bargadoñ par
merī kalpanāoñ ke panchhī
liye apnī choñchoñ meñ tinke
uḌe un pur-asrār
andhī
dishāoñ kī jānib
jahāñ aag ke jañgaloñ meñ
mirī aatmā
kitnī sadiyoñ se byākul
koī āshiyāñ DhūñDhtī hai
thaki haari chiDiyon ke
ek ghol ki tarah
jab sham utri
ghane bargadon par
meri kalpanaon ke panchhi
liye apni chonchon mein tinke
uDe un pur-asrar
andhi
dishaon ki jaanib
jahan aag ke jangalon mein
meri aatma
kitni sadiyon se byakul
koi aashiyan DhunDhti hai
- Book : AURAAQ (Pg. 41)
- Author : Wazir Agha, Sajjad Naqvi
- Publication : Auraaq Chauk, Urdu Bazar, Lahore (April, May 1982)
- Edition : April, May 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.