aasifuddaula ka imambaada lucknow
āsafuddaula-e-marhūm kī ta.amīr-e-kuhan
jis kī san.at kā nahīñ safha-e-hastī pe javāb
dekh sayyāh use raat ke sannāTe meñ
muñh se apne mah-e-kāmil ne jab ulTī ho naqāb
dar-o-dīvār nazar aate haiñ kyā sāf-o-subuk
sahar kartī hai nigāhoñ pe ziyā-e-mahtāb
yahī hotā hai gumāñ ḳhaak se mas is ko nahīñ
hai sambhāle hue dāman meñ havā-e-shādāb
yak-ba-yak dīda-e-hairāñ ko ye shak hotā hai
Dhal ke sāñche meñ zamīñ par utar aayā hai sahāb
be-ḳhudī kahtī hai aayā ye fazā meñ kyuuñ kar
kisī ustād musavvir kā hai ye jalva-e-ḳhvāb
ik ajab manzar-e-dil-gīr nazar aatā hai
duur se ālam-e-tasvīr nazar aatā hai
aasafuddaula-e-marhum ki tamir-e-kuhan
jis ki sanat ka nahin safha-e-hasti pe jawab
dekh sayyah use raat ke sannaTe mein
munh se apne mah-e-kaamil ne jab ulTi ho naqab
dar-o-diwar nazar aate hain kya saf-o-subuk
sahar karti hai nigahon pe ziya-e-mahtab
yahi hota hai guman KHak se mas is ko nahin
hai sambhaale hue daman mein hawa-e-shadab
yak-ba-yak dida-e-hairan ko ye shak hota hai
Dhal ke sanche mein zamin par utar aaya hai sahab
be-KHudi kahti hai aaya ye faza mein kyun kar
kisi ustad musawwir ka hai ye jalwa-e-KHwab
ek ajab manzar-e-dil-gir nazar aata hai
dur se aalam-e-taswir nazar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.