aate jate din
aate jaate din kyā kahte haiñ sun
ilm ke chāñd charāġh se sāthī
jīvan ke is baaġh se sāthī
saarī kaliyāñ chun
aate jaate din kyā kahte haiñ sun
aadhā hai īmān safā.ī
jis ne aadat ye apnā.ī
us kā raushan naam hai sāthī
sab se bhalā ye kaam hai sāthī
sab se achchhā gun
achchhī āñkheñ achchhe ḳhvāb
saaz hai duniyā dil mizrāb
chāroñ jānib pyaar ho sāthī
har ik raah bahār ho sāthī
dil meñ ho jo dhun
aate jaate din kyā kahte haiñ sun
aate jate din kya kahte hain sun
ilm ke chand charagh se sathi
jiwan ke is bagh se sathi
sari kaliyan chun
aate jate din kya kahte hain sun
aadha hai iman safai
jis ne aadat ye apnai
us ka raushan nam hai sathi
sab se bhala ye kaam hai sathi
sab se achchha gun
achchhi aankhen achchhe KHwab
saz hai duniya dil mizrab
chaaron jaanib pyar ho sathi
har ek rah bahaar ho sathi
dil mein ho jo dhun
aate jate din kya kahte hain sun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.