aawara
ḳhuub hañs lo mirī āvāra-mizājī par tum
maiñ ne barsoñ yuuñ hī khaa.e haiñ mohabbat ke fareb
ab na ehsās-e-taqaddus na rivāyat kī fikr
ab ujāloñ meñ na khā.ūñgī maiñ zulmat ke fareb
ḳhuub hañs lo ki mire haal pe sab hañste haiñ
merī āñkhoñ se kisī ne bhī na aañsū poñchhe
mujh ko hamdard nigāhoñ kī zarūrat bhī nahīñ
aur sho.aloñ ko baḌhāte haiñ havā ke jhoñke
ḳhuub hañs lo ki takalluf se bahut duur huuñ maiñ
maiñ ne masnūī tabassum kā bhī dekhā anjām
mujh se kyuuñ duur raho aao maiñ āvāra huuñ
apne hāthoñ se pilāo to mai-e-talḳh kā jaam
ḳhuub hañs lo ki yahī vaqt guzar jā.egā
kal na vāraftagi-e-shauq se dekhegā koī
itnī ma.asūm latāfat se na khelegā koī
ḳhuub hañs lo ki yahī lamhe ġhanīmat haiñ abhī
merī hī tarah se tum bhī to ho āvāra-mizāj
kitnī bāñhoñ ne tumheñ shauq se jakḌā hogā
kitne jalte hue hoñToñ ne liyā hogā ḳhirāj
ḳhuub hañs lo tumheñ biite hue lamhoñ kī qasam
merī bahkī huī bātoñ kā burā mat maano
mere ehsās ko tahzīb kuchal detī hai
tum bhī tahzīb ke malbūs utāro pheñko
ḳhuub hañs lo ki mire lamhe gurezāñ haiñ ab
merī rag rag meñ abhī mastī-e-sahbā bhar do
maiñ bhī tahzīb se bezār huuñ tum bhī bezār
aur is jism-e-barahna ko barahna kar do
KHub hans lo meri aawara-mizaji par tum
main ne barson yun hi khae hain mohabbat ke fareb
ab na ehsas-e-taqaddus na riwayat ki fikr
ab ujalon mein na khaungi main zulmat ke fareb
KHub hans lo ki mere haal pe sab hanste hain
meri aankhon se kisi ne bhi na aansu ponchhe
mujh ko hamdard nigahon ki zarurat bhi nahin
aur shoalon ko baDhate hain hawa ke jhonke
KHub hans lo ki takalluf se bahut dur hun main
main ne masnui tabassum ka bhi dekha anjam
mujh se kyun dur raho aao main aawara hun
apne hathon se pilao to mai-e-talKH ka jam
KHub hans lo ki yahi waqt guzar jaega
kal na waraftagi-e-shauq se dekhega koi
itni masum latafat se na khelega koi
KHub hans lo ki yahi lamhe ghanimat hain abhi
meri hi tarah se tum bhi to ho aawara-mizaj
kitni banhon ne tumhein shauq se jakDa hoga
kitne jalte hue honTon ne liya hoga KHiraj
KHub hans lo tumhein bite hue lamhon ki qasam
meri bahki hui baaton ka bura mat mano
mere ehsas ko tahzib kuchal deti hai
tum bhi tahzib ke malbus utaro phenko
KHub hans lo ki mere lamhe gurezan hain ab
meri rag rag mein abhi masti-e-sahba bhar do
main bhi tahzib se bezar hun tum bhi bezar
aur is jism-e-barahna ko barahna kar do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.