aawara
koī yaad aisī nahīñ
jo mujhe raah chalte hue rok le merā dāman pakḌe
mire paañv meñ ek zanjīr sī Daal de
koī bhī aisā biitā huā pal nahīñ
mast jhoñke ke mānind jo gungunātā huā duur se aa.e
vīrān āñkhoñ se lipTe
kisī bhūlī-bisrī huī baat kā giit gaa.e
mire sāmne ek phailā huā jaal hai rāstoñ kā
qatāreñ haiñ bijlī ke khamboñ kī ūñche makānoñ kī paTriyoñ kī
magar koī bhī rāsta koī bhī raushnī
koī khiḌkī kisī peḌ kā saaya aisā nahīñ hai
jise dekh kar
mehrbān aañkh kī muskurāhaT mujhe yaad aa.e
bhaTaktī huī ruuh ko apnī bāñhoñ meñ le le
koi yaad aisi nahin
jo mujhe rah chalte hue rok le mera daman pakDe
mere panw mein ek zanjir si Dal de
koi bhi aisa bita hua pal nahin
mast jhonke ke manind jo gungunata hua dur se aae
viran aankhon se lipTe
kisi bhuli-bisri hui baat ka git gae
mere samne ek phaila hua jal hai raston ka
qataren hain bijli ke khambon ki unche makanon ki paTriyon ki
magar koi bhi rasta koi bhi raushni
koi khiDki kisi peD ka saya aisa nahin hai
jise dekh kar
mehrban aankh ki muskurahaT mujhe yaad aae
bhaTakti hui ruh ko apni banhon mein le le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.