aawara parchhaiyan
saare din kī thakī,
vīrān aur be-masraf raat ko
ek ajiib mashġhala haath aa gayā hai
ab vo!
saare shahr kī āvāra parchhā.iyoñ ko
jism dene kī koshish meñ masrūf hai
mujhe mālūm hai
agar gum-nām parchhā.iyoñ ko
un kī pahchān mil ga.ī
to shahr ke muazzaz aur ibādat-guzār sharīf-zāde
ham-shakl parchhā.iyoñ ke ḳhauf se
parchhā.iyoñ meñ tabdīl ho jā.eñge
aur
be-masraf din bhar kī thakī huī raat ko
ek aur mashġhala mil jā.egā
sare din ki thaki,
viran aur be-masraf raat ko
ek ajib mashghala hath aa gaya hai
ab wo!
sare shahr ki aawara parchhaiyon ko
jism dene ki koshish mein masruf hai
mujhe malum hai
agar gum-nam parchhaiyon ko
un ki pahchan mil gai
to shahr ke muazzaz aur ibaadat-guzar sharif-zade
ham-shakl parchhaiyon ke KHauf se
parchhaiyon mein tabdil ho jaenge
aur
be-masraf din bhar ki thaki hui raat ko
ek aur mashghala mil jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.