aawara sajde
Interesting Fact
On splitting of Communist Ikai (nazm written in 1962)
ik yahī soz-e-nihāñ kul mirā sarmāya hai
dosto maiñ kise ye soz-e-nihāñ nazr karūñ
koī qātil sar-e-maqtal nazar aatā hī nahīñ
kis ko dil nazr karūñ aur kise jaañ nazr karūñ
tum bhī mahbūb mire, tum bhī ho dildār mire
āshnā mujh se magar tum bhī nahīñ, tum bhī nahīñ
ḳhatm hai tum pe masīhā-nafasī, chāragarī
mahram-e-dard-e-jigar tum bhī nahīñ tum bhī nahīñ
apnī laash aap uThānā koī āsān nahīñ
dast-o-bāzū mire nākāra hue jaate haiñ
jin se har daur meñ chamkī hai tumhārī dahlīz
aaj sajde vahī āvāra hue jaate haiñ
dard-e-manzil thii, magar aisī bhī kuchh duur na thī
le ke phirtī rahī raste hī meñ vahshat mujh ko
ek zaḳhm aisā na khāyā ki bahār aa jaatī
daar tak le ke gayā shauq-e-shahādat mujh ko
raah meñ TuuT ga.e paañv to ma.alūm huā
juz mire aur mirā rāh-numā koī nahīñ
ek ke ba.ad ḳhudā ek chalā aatā thā
kah diyā aql ne tañg aa ke ḳhudā koī nahīñ
ek yahi soz-e-nihan kul mera sarmaya hai
dosto main kise ye soz-e-nihan nazr karun
koi qatil sar-e-maqtal nazar aata hi nahin
kis ko dil nazr karun aur kise jaan nazr karun
tum bhi mahbub mire, tum bhi ho dildar mere
aashna mujh se magar tum bhi nahin, tum bhi nahin
KHatm hai tum pe masiha-nafasi, chaaragari
mahram-e-dard-e-jigar tum bhi nahin tum bhi nahin
apni lash aap uThana koi aasan nahin
dast-o-bazu mere nakara hue jate hain
jin se har daur mein chamki hai tumhaari dahliz
aaj sajde wahi aawara hue jate hain
dard-e-manzil thi, magar aisi bhi kuchh dur na thi
le ke phirti rahi raste hi mein wahshat mujh ko
ek zaKHm aisa na khaya ki bahaar aa jati
dar tak le ke gaya shauq-e-shahadat mujh ko
rah mein TuT gae panw to malum hua
juz mere aur mera rah-numa koi nahin
ek ke baad KHuda ek chala aata tha
kah diya aql ne tang aa ke KHuda koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.