aawargi
ajiib baat thī
mere mizāj meñ
bhāgtī rahī maiñ
jaane kis kī talāsh meñ
be-irāda
be-vaj.h
idhar udhar
Dagar Dagar
dariyā dariyā
kū-ba-kū
sarāsīmgī ke aalam meñ
ajab dīvāngī meñ
ajab hairāngī liye
junūñ kī had ko paar kar ke
har kisī par vaar kar ke
pahuñch ga.ī vahāñ par maiñ
jis ke aage
koī rahguzar na thī
ajib baat thi
mere mizaj mein
bhagti rahi main
jaane kis ki talash mein
be-irada
be-wajh
idhar udhar
Dagar Dagar
dariya dariya
ku-ba-ku
sarasimgi ke aalam mein
ajab diwangi mein
ajab hairangi liye
junun ki had ko par kar ke
har kisi par war kar ke
pahunch gai wahan par main
jis ke aage
koi rahguzar na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.