aawargi hawaon ki
Interesting Fact
(Afkar, Karachi, January 1973)
abhī nahīñ
abhī mausam nahīñ bahāroñ kā
abhī to barf bhī pighlī nahīñ hai hoñToñ kī
abhī to rang bhī badlā nahīñ hai zaḳhmoñ kā
abhī to dasht se lauTe nahīñ haiñ saudā.ī
gharoñ ke diip abhī raushnī nahīñ deñge
abhī charāġh jalāne kī rut nahīñ aa.ī
abhī nahīñ
abhī mausam nahīñ bahāroñ kā
abhī to dekhiye āvārgī havāoñ kī
hamāre shahar se ho kar kidhar ko jaatī hai
abhī to dekhiye dast-e-ḳhizāñ kī shab-kārī
hamārī aañkh ke kitne diye bujhātī hai
abhī to dekhiye dil ke gulāb kī surḳhī
chaman kī dhuup meñ kis kis ko raas aatī hai
abhī nahīñ
abhī mausam nahīñ bahāroñ kā
gharoñ ke diip abhī raushnī nahīñ deñge
abhi nahin
abhi mausam nahin bahaaron ka
abhi to barf bhi pighli nahin hai honTon ki
abhi to rang bhi badla nahin hai zaKHmon ka
abhi to dasht se lauTe nahin hain saudai
gharon ke dip abhi raushni nahin denge
abhi charagh jalane ki rut nahin aai
abhi nahin
abhi mausam nahin bahaaron ka
abhi to dekhiye aawargi hawaon ki
hamare shahar se ho kar kidhar ko jati hai
abhi to dekhiye dast-e-KHizan ki shab-kari
hamari aankh ke kitne diye bujhati hai
abhi to dekhiye dil ke gulab ki surKHi
chaman ki dhup mein kis kis ko ras aati hai
abhi nahin
abhi mausam nahin bahaaron ka
gharon ke dip abhi raushni nahin denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.