aawaz girti hai
ek āvāz girtī hai
zamīn par
phir pursā detī haiñ
aurteñ
pursā dete haiñ mard
pursā dete haiñ bachche
jo baiThe haiñ ḳhaak par
raat ko din se milāte haiñ
din ko raat se
ek āvāz phir girtī hai
zamīn par
ab pursā dene vaalā koī nahīñ
sivā.e us ḳhaak ke
jis par vo baiThe the
ek aawaz girti hai
zamin par
phir pursa deti hain
aurten
pursa dete hain mard
pursa dete hain bachche
jo baiThe hain KHak par
raat ko din se milate hain
din ko raat se
ek aawaz phir girti hai
zamin par
ab pursa dene wala koi nahin
siwae us KHak ke
jis par wo baiThe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.