aawaz ke patthar
kaun ā.egā!
shab-bhar girte pattoñ kī āvāzeñ mujh se kahtī haiñ
kaun ā.egā!
kis kī aahaT par miTTī ke kaan lage haiñ!
ḳhushbū kis ko DhūñD rahī hai!
shabnam kā āshob samajh
aur dekh ki in phūloñ kī āñkheñ
kis kā rasta dekh rahī haiñ
kis kī ḳhātir
qarya qarya jaag rahā hai
suunā rasta guuñj rahā hai
kis kī ḳhātir!!
tanhā.ī ke hol-nagar meñ
shab-bhar girte pattoñ kī āvāzeñ chuntā rahtā huuñ
apne sar par tez havā ke nauhe suntā rahtā huuñ
kaun aaega!
shab-bhar girte patton ki aawazen mujh se kahti hain
kaun aaega!
kis ki aahaT par miTTi ke kan lage hain!
KHushbu kis ko DhunD rahi hai!
shabnam ka aashob samajh
aur dekh ki in phulon ki aankhen
kis ka rasta dekh rahi hain
kis ki KHatir
qarya qarya jag raha hai
suna rasta gunj raha hai
kis ki KHatir!!
tanhai ke hol-nagar mein
shab-bhar girte patton ki aawazen chunta rahta hun
apne sar par tez hawa ke nauhe sunta rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.